Akshar is back with his poems 😦
Dhekhe hain humne bhi chaand sitare aur Chashme-khubaa (eyes of lover)
Kyon sirf un sukhnawaro (great poets) ko suzi kavita?
ya khuda humein bhi diya hota thoda aandaj-e-bayaan
kahate hum bhi; hamara andaj-e-bayaan alag hota!
___________________________________________________________________
Ye raat hamari hai priye, sirf tanahai sath ho
Na ho koi bandhan, sirf hum tum aur ye tanahai ho
Jine mein rakha kyaa hai? barbad jayega wo pal
Har jo tere bajhon ke bahar bitaya ho
khamosh raat ke saayen mein, hum tum bekhabar ho
roye kyon hum uski barbadi par, jo fasaana hamara na ho
Suno agar tum tumhari tarif, jubaan wo meri ho
Nikle bhi agar mooh se koi shabd akhir me sirf tera naam ho
____________________________________________________________________
Often I imagine, a prince and a princess,
walking on a lonely street.
A thunder in clouds and pouring skies
Drops of ecstasy rolling over her hands
With the closed eyes and open hearts
a conversation, that involves lips but no words……………………..
______________________________________________________________________
aaj phirse humne unhe yaad kiya hai
barbadiyon ke jashn ka intzaam kiya hai
piyenge hum aaj dil bharke yoon
roknese bhi aaj na rukenge hum
Jam-e-sharab mein milake fikr ko
maykhane kohi ghar samzenge hum
raat guzaregi is tarah nashen mein
ho subah aur bekhabar hum ho
Khole hum darvaza aur wohi sanam mere darpe ho………………………..
___________________________________________________________________________
good attempt
i m looking out for better ones next time
arre waah!!!
subhan allah shayar sahab 🙂
great post
thanks buddy